Kesari starring Akshay Kumar,Parineeti Chopra & Mir SarwarAshwath Bhatt.An another Beautiful Song Teri Mitti from flim of Anurag Singh.
The song Teri Mitti is sung by B Praak,Musician is Arko Pravo Mukherjee & Lyricists is Manoj Muntashir & Music Label of Zee Music Co.
Flim Name : Kesari
Release On : 21st March,2019
Flim Cast : Akshay Kumar,Parineeti Chopra & Mir SarwarAshwath Bhatt
Flim Director : Anurag Singh
Flim Producer : Karan Johar,Aruna Bhatia,Apoorva Mehta,Hiroo Johar & Sunir Kheterpal
Lyrics of Teri Mitti:
Talvaron pe sar vaar diye,
Angaaron mein jism jalaya hai,
Tab jaake ke kahin humne sar pe,
Yeh kesari rang sajaaya hai.
Aye meri zameen afsoss nahi,
Jo tere liye sau dard sahe,
Mehfooz rahe teri aan sada,
Chahe jaan meri yeh rahe na rahe.
Aye meri zameen mehboob meri,
Meri nas nas mein tera ishq bahe,
Pheeka na pade kabhi rang tera,
Jismon se nikal ke khoon kahe.
Teri mitti mein mil jawaan,
Gul banke main khill jawaan,
Itni si hai dil ki aarzoo,
Teri nadiyon mein beh jawaan,
Teri kheton mein lehrawaan,
Itni si hai dil ki aarzoo.
Wo o…
Sarson se bhare khalihaan mere,
Jahaan jhoom ke bhagra paa na saka,
Aabad rahe woh gaaon mera,
Jahaan laut ke wapas jaa na saka.
Ho watna ve, mere watna ve,
Tera mera pyar nirala tha,
Kurbaan hua teri asmat pe,
Main kitna naseebon wala tha.
Teri mitti mein mil jawaan,
Gul banke main khil jawaan,
Itni si hai dil ki aarzoo,
Teri nadiyon mein beh jawaan,
Teri kheton mein lehrawaan,
Itni si hai dil ki aarzoo.
O Heer meri tu hansti rahe,
Teri aankh ghadi bhar nam na ho,
Main marta tha jis mukhde pe,
Kabhi uska ujaala kam na ho.
O mayi meri kya fikar tujhe,
Kyun aankh se dariya behta hai,
Tu kehti thi tera chaand hoon main,
Aur chand hamesha rehta hai.
Teri mitti mein mil jawaan,
Gul banke main khil jawaan,
Itni si hai dil ki aarzoo,
Teri nadiyon mein beh jawaan,
Teri kheton mein lehrawaan,
Itni si hai dil ki aarzoo.
If you want Lyrics of any songs please write song name is comment. ConversionConversion EmoticonEmoticon